(yahan ye baat bhi khayal rakhen k zahiri hujjat kon hen)
zahiri hujjat hen AMBIYA OR AYEMMA a.s or baatini hujjat hai AQAL
yahan ek baat to zaahir hogayi hai k hujjat 2 tarah ki hai.. zahiri or baatini or zahiri hujjat sirf AYEMMA a.s or AMBIYA hen.. or koi nahin..ye baat hadees se saabit hai..
ab agar aap k paas AMBIYA OR AYEMMA a.s nahin hen MOLA ghaib men hen to reh jati hai batini hujjat yaani AQAL..
AQAL ki ehmyat se mu zabani koi bhi inkaari nahin hoga lekin us ki ehmyat o haqeeqat ka ILM shayad hee kisi ko ho.
MOLA ka farmaan hy k jab tum tak koi khabar pohche to us ki AQAL k zariye reyat karo na k rewayat k taur se kiun k ILM ko naqal karne wale to buhot hen lekin uski mara'at karne wale buhot qaleeel.
to hum ko sab se pehle to is hujjat k kuch usoolon ko samajhna chahye.. jin me sab se pehla usool ye hy k hujjat ki tabedaari/itteba/taqleed ki jati hy na k us ko apne tabay bana kar us se koi kaam lia jaye. doosra ye k hujjat k ehkaam ko tasleem kia jata hy na k hujjat ko hee apni baaten tasleem karne ka paband banane ki tago dau karne ki koshish ki jaye.teesra or sab se eham ussol ye hy k hujjat ko paane k liye HAJJ ka hukum dia gaya hy, kiun k hujjat ki taraf ruju karne k liye uska qasd karna HAJJ hy lehaza jab aqal ko hujjat qarar dia gaya hy to us ki taraf ruju karne ka qasd karna HAJJ kehlayega.
MOLA ka farman hy HAJJ apni HUJJAT ki taraf RUJU karne k liye QASD karne ka naam hy.
or chunke HAJJ ko ek khaas maqaam haasil hy us k baghair koi or rukn hasil nahin ho sakta to samajhne ki baat ye hy k jab tak is baatini hujjat yaani aqal se kaamil ruju na hojaye tab tak deen ka koi hissa bhi haasil nahin kia ja sakta.
jesa k mene aap se pehle baat kee wo sirf aqal ki base pe thi.. yahan ab loogon ka perception change karna zaroori hy kiun k kayee logon ka khayal hy k aqal sab k pas hoti hai, aisa nahin hy kiun k mujhe ek rewayat yaad aati hy k jab ash'as bin qais ne MOLA AMEERUL MOMINEEN se sawal kia k aap ne saqeefa k khilaaf logon ko ikhatta kiun nahin kia? to MOLA ne jawab me farmaya k kuwan kabhi pyase k paas nahin jata balke pyase ko hajat hoti hy to khud kuwen ki taraf jata hy.
is rewayat ko mukhtasiran yahan zikr karne ka maqsad yehi hy k hujjat kabhi mohtaj k paas khud se nahin jaati balke mohtaj ko ehtyaj hoti hy to khud hujjat ki taraf ruju karta hy. or is hee liye MOLA SADIQ ka farman hy k is ummat per laazim kia gaya k humari taraf ruju karen or in k marajay hum hen.
yahan ye baat to waazeh hogayi hy k mohtaj ko hujjat ki taraf qadam barhana hota hy ehtyaj ki soorat me na k hujjat ko. or jab hujjat ki tara ruju ka QASD hum ne karna hy to ye bhi tay hogaya k AQAL ba lehaz e hujjat hamari taraf nahin ayegi balke hamen AQAL ki taraf jana hoga. is liye AQAL sab k paas nahin hoti albatta AQAL her kisi k sath aise hee hoti hy jese her jism k sath ROOH hoti hy. her jism k sath NAFS hota hy. AQAL koi property nahin jo her kisi k paas ho.
ab yahan ye dekhna parega k is hujjat e baatini ki taraf ruju kis tarah kia jana chahye. ye her kisi k liye imtehaan hota hai or isi pe sawal kia jayga.. k tumne kitna ruju kia aqal ki taraf..
ab rahi baat knowledge ki. to ahadees ki kitaaben market me buhot tadaad me hen.. zaahir hai ye mulla hazraat bhi un se hee parhte hen.. ab ye kehna k mutalleya shart nahin hai, ya kitaben hamen daleel nahin deteen, ya kitab kaafi umar ka naara tha. to ye to wo uzr hen jo MOLA k huzoor qaabil e qubool nahin.. kiun k is me koi shak nahin k mutalleya shart nahin lekin is ko bahana bana kar kisi bhi aisi baat ka inkaar kardena jo apne qayas ko radd kary ye kisi bhi sooray zahanat ya AQALMANDI nahin..
kiun k AQAL mandi ki shart EMAAN per hona nahin balke MOMIN hone k liye AQALMANDI shart hy.
MOLA AMEER UL MOMINEEN ka farmaan hy
KOI MOMIN US WAQT TAK EMAAN NA LAYA JAB TAK K AQALMAND NA HOGAYA.
ye kitaben hamare liye hujjat nahin daleel nahin lekin in kitabon se hamen sab se eham fayeda ye hy k hum apni tarbiyat kar sakte hen. kiun k is daur me HAQ or BATIL ko khalat malat kar k hamare saaamne pesh kia gaya hy. or hamen hamare aqalmand hone ka pata lagane k liye sab se acha zariya hy in kitabon se BATIL ko HAQ se juda kar k nishandehi karna or us ko mukammal taur se thukra dena. takay HAQ waazeh ho kar hamare saamne ajaye.
or sab se ziada mazedaar baat to ye hy k jo log ye naaray lagate hen k mutalleya shart nahin wo apna self made deen home made aqeeda kitabon k zariye hee saabet karty hen.. naaray ye lagaty hen k AQAL daleel hy. lekin daleel banaty hen un hee kitabon ko jin k mutalley ko daleel manne se inkar karte hen.
MUTALLEYA DALEEL NAHIN. AQAL HEE DALEEL HY.
lekin insan ko munafqat nahin karni chahye.