Friday, July 9, 2010

KASHAF-UL-FAZAYEL

hamare yahan zabano ki kasrat hai, jab k sochne waale dil murda hogaye hen. log bolna to jaante hen lekin sochna un k bas ki baat nahin rahi.
jesa k MOLA ALI a.s ka farmaan hai "INSAN APNI ZABAAN K PEECHE CHUPA HUA HAI."
lehaza insan ko jo bhi bolna ho soch samajh ker bolna chahye. lekin phir bhi sochna gawaara nahi.
MOLA ALI a.s farmate hen "LAFZ TUMHARE GHULAM HEN JAB TAK TUMHARI ZABAN SE ADA NAHI HOJATE, LEKIN ADAYEGI K BAAD TUM UN K GHULAAM BAN JAATE HO, LEHAZA YE DEKH LO K KIA BOL RAHE HO."


lekin logon ne to sunna bhi chor dia hai to sochenge kese.. jab sunengey hee nahin..
yahan sunne se muraad logon ki nahin balke REHMAAN ki awaaz sunne ki baat hai.
jesa k MOLA IMAM JAFFER SAJDIQ a.s farmaate hen
"Dil k 2 kaan hote hen, ek me emani ruh us se neki ki sargoshi krti hy or ek me shetan us se burayi ki sargoshi krta hy, unme se jo taqatwar hota hy ghalib ajata hy."
bas yehi haal hai in duniya walon ka.. kiun k logon ko shetaani awaaz sunne me hee ziada maza aata hai.. or us ki taraf mutawajjo bhi ziada jaldi hote hen kiun k wo awaaz duniya ki ronaq bhi dikhaati hai or asaanyaan bhi dikhati hai.. or mushkilon se jaan churaati hai.. or logon ko bhi asaaniyan chahye hen mushkilon se nijaat chahye hai..
jab k MOLA AMEER UL MOMINEEN a.s ka farmaan hai "JANNAT DUSHWARIYION ME HAI JAB K JAHANNUM ASAANIYON ME.."
ekj or jaga farmaate hen "JANNAT BAGHER MUSHKILAAT K MIL HEE NAHIN SAKTI.."


ab yehi dekh len.. k agar log REHMAAN ki awaaz ko sunne waale hote to ye saare farmaan MOLA k yun sun kar bhool na jaate..bas yehi baat hai in dunyaa daar duniyavi logon ki.. k inko logon ki baaten to bari jaldi sunayi deti hen or samajh bhi ajati hen.. or maan kar un per amal bhi karne lag jaate hen lekin REHMAAN ki awaaz sunayi nahin deti.. or sunayi bhi kese de.. jab k ye aankhen rakhte hue andhay, kaan rakhte hue behray, zabaan rakhte hue bhi goongay or Dil rakhte bhi murda hogaye hen.. ab ye bhi mere MOLA ka hee farmaan hai...or ye bhi farmaan un hee logon k liye hai jo duniya ki ronaq k garweeda hen, kiun k jo bhi insan duniya ka garweeda hoga wohi Deen se roo gardaani karega or MOLA HUSSAIN a.s farmaate hen
"LOG DUNIYA K BANDAY HEN DEEN TO IN KI ZABAANO PE CHATNI KI TARAH HAI."


to bas ye log Deen ko apni zabaan per rakhte hen or is k chatkhaare lete hen..ab kia karen bechaare jab bachpan se maa baap ne LOLY POP ki aadat jo daal di hai.. or wese bhi dekha jaye to Usooli hon ya Akhbaari.. sab k sab apne aaba-o-ajdaad ki hee pairvi me hen.. jiska khandan mujtahid o mulla ki taqleed me raha usne taqleed me khandani pairvi kee.. or jiska khandaan khud ko Akhbaari keh kar Mujtahid o mulla ko bura kehta hai usne akhbari mazhab apna lia..(mene aqliyat ko is me shumaar nahin kia.. ye aksaryat ki baat hai kiun k aqliyat to na usooli hai na akhbari..)


to log kisi na kisi tarah taqleed-e-insani me hee jakray hue hen kiun k aga esa na hota to koi bhi insan mullaon pe tabarra kar k bhi un hee k jaal me na phansa hota kiun k unhone wohi kia jis k liye MOLA ne mana farmaya..
"KHABARDAAR!! LOGON SE DEEN HASIL NA KARO BALKE HAQ KO US KI AYAAT KO PEHCHAANO, JAB HAQ KO PEHCHAAN LOGAY TO EHL-E-HAQ KO BHI PEHCHAAN HEE LOGAY."


ek or jaga farmaya "JO DEEN ME LOGON K ZARIYE DAKHIL HOTA HAI TO WOHI LOG USAY DEEN SE KHARIJ BHI KARDETE HEN."
kiun k jab kisi insan k zariye Deen me daakhil hote hen to us pe hee bharosa kar lete hen.. to us per andha bharosa usay ek din Deen se khaarij bhi karwa deta hai.. kiun k zahir hai insan masoom to nahin.. na hee uski aqal kaamil hai.. k wo jo bhi baat kahe wo 100% hogi.. balkey ese me MOLA ka farmaan yehi hai k apni AQAL se sawaal karo.. kiun k wohi tum per pehli hujjat hai.. lekin phir bhi log HAQ ko pehchaanne k lye apni AQAL ka istemaal nahi karte. balkey kaheen na kaheen ese insan dhoondte hen jo un k lye Halwa tayyar kar k de de..
chaahe mulla, mujtahid ho ya koi peer faqeer.. kisi na kisi mushkil me insan ka mohtaaj banna logon ne apni fitrat ka hissa bana lia hai..


jesa k MOLA ne farmaya hai "JAB KOI INSAN DEENI MAAMLAAT ME LOGON KA MOHTAAJ HOJATA HAI TO ALLAH USKO UN HEE LOGO K REHM O KARAM PE CHOR DETA HAI."
esa hee hamen aam logon me nazar bhi ata hai.

itnee tamheed mene islye baandhi k is daur k logon ki sahi tareef bayaan ho sake or her insan apne andar jhaank sakay. mera khaas ishara un hazraat ki taraf hai jo ek taraf to mulla mujtahid ko bura bhi bolte hen lekin ek taraf un hee k EEJAAD karda BID'ATI RASTAY ko apnaye hue hen..un hee k khud saakhta usoolon ko follow karte hen. quran o hadees per amal karne ki baaten to karte hen lekin apni aqlon ko kisi sundooq me ese chupa rakhte hen jese agar un ko istemaal karlia to Expire hojayengi.. or ye bhi bhool jaate hen k MOLA ne her hadees saamne waale ki aqal k mutabiq bayaan ki hai yaani jesi aqal wesi hadees.. or is ki misaal kayee rewayaton me milti bhi hai..or marfat ka mayaar bhi aqal hai. lekin log phir bhi marfat o muhabbat ko apne mutabiq hee apnaate hen.. or ye chahte hen k doosre bhi un hee k mutabiq chalen.. khud ko momin e mustabsir consider karte hen..
or jo bhi us ki kam aqal se aagay ki baat kare us ko ya to nuseri ka laqab de dete hen ya phir muqassir ka..



asal me log ye baat hazam nahin kar paate k koi bhi un se barh kar kese ho sakta hai.. isi liye hasad bhi karte hen or isi liye HAQ se phir bhi jaate hen.. chaahe emaan me kitne hee aala darjay pe fayez kiun na hon.. khud pasandi un ko her nemat se mehroom kar deti hai..
jesa k MOLA ne farmaya hai "KHUD PASANDI KUFR KA AGHAAZ HAI."
is hee chakkar me phans kar banda khud ko khuda samajh leta hai.. or HAQ ki ayaton ka bhi inkaar karne lag jata hai.. phir bhi khud ko momin tasavvur karta hai.. kiun k khud pasandi ne us k dil per parda daal dia hota jis ki waja se wo soch hee nahin paata.. or ye beemaari sirf or sirf un hee logon ko lagti hai jo EHL-E-EMAAN me se hon.. kafir, munafiq, munkir etc.. in logon ko ye bemaari nahin lagti kiun k un k dil me to emaan hota hee nahin hai.. wo to pehle hee murda hote hen.. or ye bemaari baray se baray momin ko bhi murda bana kar hee chorti hai.. or is se bachao ka ek hee tareeqa hai.. or wo hai
MOLA k saath khuloos k saath MUHABBAT karna.. or un k MUHIBBEEN K SAATH MUHABBAT OR DUSHMANO K SATH DUSHMANI karna..


hamare yahan jis ko dekho wo khud ko momin bhi kehta hai or Arif bhi samajhta hai or muqassiron ko bura bhi bolta hai lekin ye nahin pata hota k khud kia hai masawaat ko hamare yahan ese issue bana lia hai k jese is k bagher to sab jahannumi hen..jab k ye bhool gaye k ye GOLA GUNDA bhi mulla ka hee ejaad karda hai.. ya to RASOOL ko MOLA se barha rahe hote hen ya phir barabar laa kar shirk karne me pesh pesh hote hen.. jab k ye bhool gaye.. k shirk MOLA ki wilayat me hee hota hai.. yahan 2 baaten samajh ati hen..
ek to ye k Rasool se ziada hee muhabbat hai or MOLA se jalan hai ya MOLA ko Rasool ki wajah se maan rahe hen. or ye dono baaten hamare aqeeday ki taa'eed nahin karteen.. balkey aqeeda-e-baatila ki numayendegi karti hen.. kiun k hamara mukhalif yehi aqeeda rakhta hai..


yahan me ye waazeh kardoon k "HUM KON HEN"


UMMAT-E-MUHAMMADIYA hen ya SHIYAN-E-ALAWIYA hen..
agar ummat-e-muhammadiya hen to apna sab kuch Rasool ko samjhenge.. jesa k ye sunni or so called shia musalmaan samajhte hen..
or agar Shiyan-e-ALAWIYA hen to apne aqeeday ka mehvar-o-markaz her lehaaz se MOLA AMEER UL MOMINEEN a.s ko hee samjhenge.. or esa hee samajhna bhi chahye.. is ki daleel main ek rewayat se deta hoon lekin pehle is baat ko bhi quran or tafseer ki roshni me dekh len..

[18:28]
وَاصْبِرْ نَفْسَكَ مَعَ الَّذِينَ يَدْعُونَ رَبَّهُم بِالْغَدَاةِ وَالْعَشِيِّ يُرِيدُونَ وَجْهَهُ وَلاَ تَعْدُ عَيْنَاكَ عَنْهُمْ تُرِيدُ زِينَةَ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَلاَ تُطِعْ مَنْ أَغْفَلْنَا قَلْبَهُ عَن ذِكْرِنَا وَاتَّبَعَ هَوَاهُ وَكَانَ أَمْرُهُ فُرُطًا

تو ان لوگو ں کی صحبت میں رہ جو صبح اور شام اپنے رب کو پکارتے ہیں اسی کے چہرے کا ارادہ کرتے ہیں اور تو اپنی آنکھوں کو ان سے نہ ہٹا کہ دنیا کی زندگی کی زینت تلاش کرنے لگ جائے اور اس شخص کا کہنا نہ مان جس کے دل کو ہم نے اپنی یاد سے غافل کر دیاہے اور اپنی خواہش کے تابع ہو گیا ہے اور ا سکا معاملہ حد سے گزر ا ہوا ہے

Tafseer Ali bin Ibrahim me rewayat hai k ye ayat hazrat SALMAN a.s ki shaan me nazil hui, un k paas ek chaadar thi, ek dafa arab k ek qabeelay ka sarbarah aeneyah bin haseen Rasulullah s.w.w k paas aya, us waqt Hazrat Salman a.s Rasulullah s.w.w k paas bethe hue thy. us sardaar ko hazrat Salman a.s ki chaadar se ghin hui us ne Rasulullah s.w.w se kaha.
"Ya Rasulullah! jab hum aap k paas ayen to isay aap apni mehfil se utha dia karen or jab hum uth kar chale jayen to aap jisay chahen apne paas bithayen"
us per ye ayat naazil hui jis me Allah ne Rasulullah s.w.w k GHAREEB as'haab e baawafa ki Tareef ki or UN K SAATHBETHNE KA HUKUM DIA.. OR RASOOL s.w.w ne FARMAYA: "MERA JEENA OR MARNA TUMHARE SAATH HAI." (tafseer e noor ul saqlain)


ye hen SHIYAN-E-ALAWEYA.. jin k saath RASOOL ko bhi bethne ka HUKUM ho raha hai.. or sirf bethne ka nahin.. balke un ki taraf se nazren bhi pherne se mana kardia.. jo APNE RAB K CHAHREY ka qasd karte hen.. yaani apni nigaah ka markaz or mehvar jo APNE RAB K CHEHRE KO QARAAR DETE HEN.. UN K LIYE RASOOL KO HUKUM DIA JA RAHA HAI..
ye hen shiyan e alawyia..


ab ye hadees mulaheza ho..
MOLA AMEER UL MOMINEEN a.s ne farmaya "SALMAAN a.s is zameen per hamare BAAB ULLAH hen.. jis ko hamari marfat haasil karni ho wo SALMAAN a.s k zariye se haasil kare."
is hadees se ye baat to waazeh hogayee k hamen hazrat Salman a.s se hee apne aqeeday ko samajhna hoga.. to ab rewayat mulaheza ho..
jab saqeefa barpa hogaya or Umar harami ne abu bakar harami k liye logon se baiyat ka taqaza kia to khalid bin waleed waladuzzana ko hazrat Salman a.s k paas bheja or kehlwaya k abu bakar ki baiyat karle.. hazrat Salman a.s ne poocha "kia MERE MOLA a.s ne abu bakar ki baiyat ki?"
khalid ne jawab dia k nahin.. unhone inkaar kardia.. to hazrat Salman a.s ne farmaya: "JAB MERE MOLA NE BAIYAT NAHIN KI TO MEN KESE KARLOON? MENE TO MUHAMMAD s.w.w KI BAIYAT BHI MOLA ALI a.s KI WAJA SE HEE KEE THI " (kitab sawaneh hazrat Salman a.s)
ab hazrat Salman a.s ne is baat se qayamat tak aane wale khaalis shiyon ko ye hidayat kardi.. k un k deen ka markaz o mehvar sirf or sirf MOLA hen.. or Rasool to un logon k lye aaye thay jin ko Deen-e-Haqeeqi yaani WILAYAT E MOLA ALI a.s ki taraf bulaana tha.. jab k MOLA k shiyon ne to subh-e-alast hee is ka iqraar kar k is EHAD ko achi tarah se yaad karlia tha.. to un k lye Rasool nahi aye thay.. wo to gumrahon ko HAQ ka paighaam sunaane aaye thay.. lehaza ab aap hazraat ko ye baat to samajh agayi hogi k SHIYAN-E-ALAWIYA ka aqeeda kia hona chahye.. kiun k Rasoolullah to yahan NABI ban ker aaye.. or NABI ka kaam hota hai kisi khaas NABA yaani khabar ko pohchaana.. or ayat-e-ballegh is baat ki daleel hai k wo MOLA ki WILAYAT ki KHABAR pohchaane aye thay.. or NABA-UL-AZEEM mere MOLA ALI a.s hen.. ye baat kisi se dhaki chupi nahin.. phir Rasoolullah s.w.w MOLA se afzal ya MOLA k barabar kese hosakte hen??
kia saajid bhi kabhi Masjood k barabar hosakta hai??



chaliye is per thori see behas kar lete hen.. k Rasool mafzool kese or sajid kese..wo bhi MOLA ko sajda..kiun k ye dekh kar kayee logon ne mere naam k saath ghaali, mushrek, nuseri waghera k alqabaat lagana shuru kardiye honge..
khair.. men to sirf dalayel ki roshni se baat kar raha hoon.. kisi k paas koi jawaab hee na ho to men kia kar sakta hoon..
kuch ahadees to hum MUHAMMAD-UR-RASOOLULLAH s.w.w se lelete hen..


یا علی! انی محتاج الیک فی الدنیا والآخرہ

"YA ALI MEN MOHTAAJ HOON AAP KA DUNIYA ME BHI AKHERAT ME BHI." (behr ul maarif)

یا علی! انت ابو تراب, انا ابن التراب
"YA ALI! AAP ABU TURAB HEN OR MEN IBN-E-TURAB HOON." (mashariq ul anwaar)

ab kuch hazraat kahenge k quran se sabit karo kiun k quran k khilaaf ahadees hum nahin maante, to quran ki gawahi tafaseer k saath bhi dekh lete hen..
sab se pehle to sab se pehli ayat hee dekh lete hen quran ki..

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

بسم الله جو رحمٰن ہے ، الرحيم ہے

is ayat se to sab hee waaqif hen lekin is ki marfat se aksaryat jaahil hai, بسم الله ka tarjuma aaj bhi kayee jaahil jo khud ko ehl-e-wilayat kehte hen.. is tarah se karte hen k "shuru karta hoon allah k naam se" ya "shuru allah k naam se" ya "allah k naam ki madad se"
jab k بسم الله khud ek ism hai is me Allah k ism ka zikr nahin balke BISMILLAH ka zikr hai.. or BISMILLAH ek lafz hai.. or ISM e ZAATI hai jis ki daleel kuch tafaseer se deta hoon..
MOLA IMAM HASAN ASKARI a.s se rewayat hai
"TUM JO KEHTE HO بسم الله TO ISKA MATLAB YE HAI K TUM KEH RAHE HO K MEN APNE TAMAAM UMOOR ME ALLAH KI US ZAAT SE MADAD TALAB KARTA HOON, IBADAT US HEE K SHAYAN E SHAAN HAI. WOHI TO ALLAH HAI JO ESI JAGAH PE FARYAAD RASEE KARTA HAI JAHAN KOI FARYAAD RUS NAHI HOTA."
(mezan ul hikmat)

is hadees ko parhne k baad khud ghaur farma len k yahan 3 baaton ka zikr hai.
i- ALLAH ki ZAAT se madad Talab ki ja rahi hai.. yaani ye ISM E ZAAT hai..
ii- phir ibadat bhi us hee ki, yaani بسم الله ki..
iii- or phir MUSHKIL KUSHA bhi wohi hai..
ab ye soch or Fikr main aap logon per chorta hoon k NAAD-E-ALI kiun parhi jaati hai or YA ALI MADAD kiun kaha jata hai..
men to bas بسم الله ki tafseer me ahadees pesh kar raha hoon..


ek or jaga MOLA IMAM JAFFER SADIQ a.s ne farmaya: "BISMILLAH ALLAH KA ISM-E-AAZAM HAI." (tafseer noor-ul-saqlain)

ab ye baat to waazeh hogayi hogi k BISMILLAH khud ALLAH KA ISM hai.. ALLAH nahin..balke ALLAH KA ISM-E-ZAAT hai..


kitab saheefa e kaamela me MOLA IMAM ZAIN UL AABEDEEN a.s ki taleem karda ek dua k kuch alfaaz dekhte hen..
"ببسم الله خیرالاسماء بسم الله رب الارض و السماء استد فع کل مکروہ۔ ۔ ۔"
"
BISMILLAH k WAASTAY se jo tamaam ASMAA se BEHTAR ISM hai (wo) BISMILLAH jo ZAMEEN O AASMAAN ka RABB hai.
men tamam na pasandeeda cheezon ka dafee'a(dafa karna) chahta hoon.
yahan ye pata chala k BISMILLAH ek SHAKHSYAT ka naam hai. jo ZAMEEN E ASMAAN KA RABB HAI. or ye bhi saabit hota hai k BISMILLAH ALLAH ka ek ISM hai.. jo ISM-E-AAZAM hai..


ab ayye MOLA ALI a.s ka hee ek farmaan dekhte hen..


"انا اسم من اسماء الحسنی و ھو الاعظم والاعلی"
"MEN ISM HOON ALLAH K ASMA-UL-HUSNAA ME SE JO AAZAM O AALA HAI." (behr ul maarif)


or ek or jagah farmaate hen "MEN HEE HOON ISM-E-AAZAM"
or kaafi me MOLA IMAM MUHAMMAD BAQAR a.s ka farmaan "BISMILLAH se muraad MOLA ALI a.s hen."

wese to ye baat roz e azal se HAQ hai.. lekin phir bhi aaj ye waqt agaya hai k HAQ jo saabit hai or EHAD shuda hai us ko saabit karna par raha hai.. khair.. to ye baat saabit hui k BISMILLAH MOLA ki hee ZAAT hai.. ab ye ZAAT MOLA KI HAI YA ALLAH ki.. ye aap khud parh len or samajh len.. hum to ab is BISMILLAH K FAZAYEL HEE PARHENGE..

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

بسم الله جو رحمٰن ہے ، الرحيم ہے

yaani ye bismillah hee hai jo REHMAAN bhi hai or RAHEEM bhi hai, wese to ye baat yun bhi saabit hai k REHMAN or RAHEEM dono hee ASMAA hen or tamaam k tamaam ASMA-UL-HUSNA MOLA ALI a.s hee hen.. or jab hum الحمد ki baat karte hen k الحمد ko hee REHMAAN bhi RAHEEM bhi RABBIL ALAMEEN bhi or MALIK E YOM-E-DEEN bhi kaha gaya hai. or kitab mashariq ul anwaar me MOLA ALI a.s hee farmaate hen k "MEN HEE الحمد HOON.."
or mashariq ul anwaar me hee RASULULLAH s.w.w farmaate hen "YA ALI! AAP HEE MAALIK-E-YAM-E-DEEN HEN, HAKIM-E-YOM-E-DEEN HEN OR WAALI-E-YOM-E-DEEN HEN."
to ye baat bhi saabit hogayi k MOLA hee BISMILLAH HEN, REHMAN HEN, RAHEEM HEN, MALIK-E-YOM-E-DEEN HEN, RABB-UL-ALAMEEN HEN..


Ab QURAN se phir kuch ayaat dekhte hen.. or saath me ahadees ka bhi mutalle'a chalega..

[17:110]
قُلِ ادْعُواْ اللّهَ أَوِ ادْعُواْ الرَّحْمَـنَ أَيًّا مَّا تَدْعُواْ فَلَهُ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَى

کہہ دو الله کہہ کر یا رحمٰن کہہ کر پکارو جس نام سے پکاروسب اسی کے عمدہ نام ہیں

ab hum MOLA KO REHMAAN KAHEN YA ALLAH KAHEN.. SAB ASMAA UN HEE K TO HEN... ab ek ayat or bhi dekh lete hen.. zara mulaaheza ho..

[20:8]
اللَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ لَهُ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَى

اللہ کہ اس کے سوا کوئی معبود نہیں، اسی کے ہیں سب اچھے نام


ab jab ye saabit hogaya k REHMAAN MOLA HEE KA ISM HAI OR MOLA KI HEE ZAAT HAI.. or SAARE K SAARE ASMAA MOLA k hee hen.. ab chaahen ALLAH kahen ya REHMAAN.. saare ASMA un hee k to hen..
AB AAYYE CHUND OR AYAAT DEKHTE HEN OR UN KI TAFASEER BHI..

[2:163]
وَإِلَـهُكُمْ إِلَهٌ وَاحِدٌ لاَّ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الرَّحْمَنُ الرَّحِيم

اور تمہارا معبود ایک معبود ہے کوئی معبود نہیں مگر وہی رحمن ، الرحيم ہے


[13:30]
كَذَلِكَ أَرْسَلْنَاكَ فِي أُمَّةٍ قَدْ خَلَتْ مِن قَبْلِهَا أُمَمٌ لِّتَتْلُوَاْ عَلَيْهِمُ الَّذِيَ أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ وَهُمْ يَكْفُرُونَ بِالرَّحْمَـنِ قُلْ هُوَ رَبِّي لاَ إِلَـهَ إِلاَّ هُوَ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَإِلَيْهِ مَتَابِ

اسی طرح ہم نے تجھےایک امت میں بھیجا ہے کہ اس سے پہلے کئی امتیں گزرچکی ہیں تاکہ تو انہیں سناد ے جو ہم نے تیری طرف حکم بھیجا ہے اور وہ تو رحمنٰ کے منکر ہیں کہہ دو وہی میرا رب ہے جس کے سوا کوئی معبود نہیں اسی پر میں نے بھروسہ کیا ہے اور اسی کی طرف میرا رجوع ہے

is ayat ko zara ghaur se parhen.. is me RASOOL se kalaam hai.. or REHMAAN K MUTAALLEQ kalaam hai.. or RASOOL ko kia HUKM ho raha hai.. wo bhi mulaaheza karlen..

[19:44]
يَا أَبَتِ لاَ تَعْبُدِ الشَّيْطَانَ إِنَّ الشَّيْطَانَ كَانَ لِلرَّحْمَنِ عَصِيًّا

اے میرے باپ شیطان کا بندہ نہ بن بیشک شیطان رحمٰن کا نافرمان ہے


yaani shetaan ka banda wohi banta hai jo REHMAAN ka naafarmaan hojata hai.. jesa k hum ne ooper behas kee thi..

[19:45]
يَا أَبَتِ إِنِّي أَخَافُ أَن يَمَسَّكَ عَذَابٌ مِّنَ الرَّحْمَن فَتَكُونَ لِلشَّيْطَانِ وَلِيًّا

اے میرے باپ میں ڈرتا ہوں کہ تجھے رحمن کا کوئی عذاب پہنچے تو تُو شیطان کا رفیق ہوجائے

yaani koi bhi insan shetaan ka us waqt rafeeq ban jata hai jab us per azaab ajata hai.. yaani shetaan ka rafeeq hona bhi ek AZAAB hai.. MOLA ki taraf se.. to jo koi bhi Shetaan ka saathi ya yaar hojaye to samajh lo ke AZAAB ka mustahiq ho chuka..

[19:58]
أُوْلَئِكَ الَّذِينَ أَنْعَمَ اللَّهُ عَلَيْهِم مِّنَ النَّبِيِّينَ مِن ذُرِّيَّةِ آدَمَ وَمِمَّنْ حَمَلْنَا مَعَ نُوحٍ وَمِن ذُرِّيَّةِ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْرَائِيلَ وَمِمَّنْ هَدَيْنَا وَاجْتَبَيْنَا إِذَا تُتْلَى عَلَيْهِمْ آيَاتُ الرَّحْمَن خَرُّوا سُجَّدًا وَبُكِيًّا

یہ وہ لوگ ہیں جن پر الله نے انعام کیا پیغمبروں میں اور آدم کی اولاد میں سے اور ان میں سے جنہیں ہم نے نوح کے ساتھ سوار کیا تھا اور ابراھیم اور اسرائیل کی اولاد میں سے اور ان میں سے جنہیں ہم نے ہدایت کی اور پسند کیا جب ان پررحمن الله کی آیتیں پڑھی جاتی ہیں تو روتے ہوئے سجدے میں گرتے ہیں

ab ye ayaat konsi hen.. ye to mujhe nahin pata.. lekin mere MOLA HUSSAIN a.s ka GHAM SAABIT KARNE K LIYE YE AYAT HEE BUOHT HAI..

[19:61]
جَنَّاتِ عَدْنٍ الَّتِي وَعَدَ الرَّحْمَنُ عِبَادَهُ بِالْغَيْبِ إِنَّهُ كَانَ وَعْدُهُ مَأْتِيًّا

بسنے کے باغ جن کا وعدہ رحمن نے اپنے بندوں سے غیب میں کیا بیشک اس کا وعدہ آنے والا ہے


[19:85]
يَوْمَ نَحْشُرُ الْمُتَّقِينَ إِلَى الرَّحْمَنِ وَفْدًا
جس دن جمع کریں گے ہم متقیوں کو رحمٰن کے حضور مہمانوں کی طرح۔

IMAM UL MUTTAQEEN mere MOLA ALI a.s hee hen..

[19:87]
لاَ يَمْلِكُونَ الشَّفَاعَةَ إِلاَّ مَنِ اتَّخَذَ عِندَ الرَّحْمَنِ عَهْدًا
لوگ شفاعت کے مالک نہ ہوں گے سوائے ان کے جنہوں نے رحمٰن سے وعدۂ (شفاعت) لے لیا ہے

[19:88]
وَقَالُوا اتَّخَذَ الرَّحْمَنُ وَلَدًا

اورکہتے ہیں کہ رحمٰن نے بیٹا بنا لیا

ab wo log jo hum se ye sawaal karte thay.. k ALLAH ka koi beta nahin hota.. to quran ne to REHMAN ki baat kee hai.. yahan kia kahenge??

[19:92]
وَمَا يَنبَغِي لِلرَّحْمَنِ أَن يَتَّخِذَ وَلَدًا

اور رحمٰن کی یہ شان نہیں کہ کسی کوبیٹا بنائے

[19:93]
إِن كُلُّ مَن فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ إِلاَّ آتِي الرَّحْمَنِ عَبْدًا
آسمانوں اور زمین میں جتنے ہیں سب اس رحمٰن کے حضور بندے ہو کر حاضر ہوں گے

ab wo log sochen jo MOLA k munkir ban rahe hen.. k yahan to kuch bhi karlen.. us roz kia hoga.. jab MOLA k hee huzoor haazir hona hoga..

[19:96]
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ سَيَجْعَلُ لَهُمُ الرَّحْمَنُ وُدًّا
اور جو لوگ ایمان لائے اور عمل نیک کئے رحمٰن ان کی مودت پیدا کردے گا

yaani mawaddat to tab peda hogi jab EMAAN LAAYEN OR PHIR AMAL KAREN SAALEHAAT PER.. us k bagher to mawaddat ka sawaal hee peda nahin hota.. or yahan to MOLA per aaj tak EMAAN hee logon ka pakka na hosaka.. DUNIYA k banday hen ye duniya k banday...

[20:5]
الرَّحْمَنُ عَلَى الْعَرْشِ اسْتَوَى
وہ رحمٰن (کائنات کے) تختِ سلطنت پر جلوہ فرما ہے۔

[20:90]
وَلَقَدْ قَالَ لَهُمْ هَارُونُ مِن قَبْلُ يَا قَوْمِ إِنَّمَا فُتِنتُم بِهِ وَإِنَّ رَبَّكُمُ الرَّحْمَنُ فَاتَّبِعُونِي وَأَطِيعُواْ أَمْرِي

اور انہیں ہارون نے اس سے پہلے کہہ دیا تھا اے میری قوم اس سے تمہاری آزمائش کی گئی ہے اور بے شک تمہارا رب رحمٰن ہے سو میری پیروی کرو اور میرا کہا مانو

dekho k HAROON a.s ne bhi kin ko apna RABB kaha tha...

[21:112]
قَالَ رَبِّ احْكُم بِالْحَقِّ وَرَبُّنَا الرَّحْمَنُ الْمُسْتَعَانُ عَلَى مَا تَصِفُونَ

رسول نے کہا: اے میرے مالک! فیصلہ کردے حق کے مطابق۔ اور ہمارا رب رحمٰن ہی مدد گار اور سہارا ہے ان باتوں کے مقابلہ میں جو تم بنارہے ہو۔

[25:26]
الْمُلْكُ يَوْمَئِذٍ الْحَقُّ لِلرَّحْمَنِ وَكَانَ يَوْمًا عَلَى الْكَافِرِينَ عَسِيرًا

اس دن حقیقی حکومت رحمنٰ ہی کی ہوگی اور وہ دن کافروں پر بڑا سخت ہوگا

[25:59]
الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَى عَلَى الْعَرْشِ الرَّحْمَنُ فَاسْأَلْ بِهِ خَبِيرًا
جس نے آسمان اور زمین اور جو کچھ ان میں ہے چھ دن میں بنایا پھر عرش پر قائم ہوا وہ رحمٰن ہے پس ا س کی شان کسی خبردار سے پوچھو
(بے خبر اس کا حال نہیں جانتے)

[25:60]
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ اسْجُدُوا لِلرَّحْمَنِ قَالُوا وَمَا الرَّحْمَنُ أَنَسْجُدُ لِمَا تَأْمُرُنَا وَزَادَهُمْ نُفُورًا

اورجب ان سے کہا جاتا ہے کہ رحمٰن کو سجدہ کرو توکہتے ہیں رحمنٰ کیا ہے کیا ہم اسے سجدہ کریں جس کے لیے تو کہہ دے اور اس سے انہیں اور زیادہ نفرت ہوتی ہے
ab MOLA ko sajday k munkir jaayen or kisi umar k peshaab me doob maren..

[26:5]
وَمَا يَأْتِيهِم مِّن ذِكْرٍ مِّنَ الرَّحْمَنِ مُحْدَثٍ إِلَّا كَانُوا عَنْهُ مُعْرِضِينَ
جب بھی آتی ہے ان کے پاس کوئی نصیحت رحمٰن کی طرف سے نئی، تو یہ اس سے مُنہ موڑے رہتے ہیں۔
ahadees k munkiron ki nishaani...

[27:30]
إِنَّهُ مِن سُلَيْمَانَ وَإِنَّهُ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
بیشک وہ سلیمان کی طرف سے ہے اور بیشک وہ بسم الله ہے ے جو رحمٰن ہے اور رحیم ہے۔

[36:52]
قَالُوا يَا وَيْلَنَا مَن بَعَثَنَا مِن مَّرْقَدِنَا هَذَا مَا وَعَدَ الرَّحْمَنُ وَصَدَقَ الْمُرْسَلُونَ

اور گھبرا کر) کہیں گے ہائے ہماری بدبختی! کس نے اٹھا کھڑا کیا ہمیں ہماری خواب گاہوں سے؟ ارے! یہ تو وہی ہے جس کا وعدہ کیاتھا رحمٰن نے اور سچ فرمایا تھا رسولوں نے۔

[41:2]
تَنْزِيلٌ مِّنَ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

نازل کی جارہی ہے رحمٰن و رحیم کی طرف سے۔

[43:36]
وَمَن يَعْشُ عَن ذِكْرِ الرَّحْمَنِ نُقَيِّضْ لَهُ شَيْطَانًا فَهُوَ لَهُ قَرِينٌ

اورجو رحمٰن کے ذکر سے سے غافل ہوتا ہے تو ہم اس پر ایک شیطان متعین کر تے ہیں پھر وہ اس کا ساتھی رہتا ہے

[43:45]
وَاسْأَلْ مَنْ أَرْسَلْنَا مِن قَبْلِكَ مِن رُّسُلِنَا أَجَعَلْنَا مِن دُونِ الرَّحْمَنِ آلِهَةً يُعْبَدُونَ

اور آپ ان سب پیغمبروں سے جنہیں ہم نے آپ سے پہلے بھیجا ہے پوچھ لیجیئے کیا ہم نے رحمٰن کے سوا دوسرے معبود ٹھیرا لئے تھے کہ انکی عبادت کی جائے

[43:81]
قُلْ إِن كَانَ لِلرَّحْمَنِ وَلَدٌ فَأَنَا أَوَّلُ الْعَابِدِينَ

کہیے اگر ہوتی رحمٰن کی اولاد تو میں سب سے پہلا (اس اولاد کی) عبادت کرنے والا ہوتا۔


ab ALLAH kon hai kia hai ye bhi dekh len...

[59:22]
هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ عَالِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ هُوَ الرَّحْمَنُ الرَّحِيمُ

وہی الله ہے کہ اس کے سوا کوئی معبود نہیں سب چھپی اور کھلی باتوں کا جاننے والا ہے وہ رحمٰن ہے اور رحیم ہے۔

[67:20]
أَمَّنْ هَذَا الَّذِي هُوَ جُندٌ لَّكُمْ يَنصُرُكُم مِّن دُونِ الرَّحْمَنِ إِنِ الْكَافِرُونَ إِلَّا فِي غُرُورٍ

بھلا وہ تمہارا کون سا لشکر ہے جو رحمٰن کے مقابلہ میں تمہاری مدد کرے گا کچھ نہیں کافر تو دھوکے میں پڑے ہوئے ہیں

[67:29]
قُلْ هُوَ الرَّحْمَنُ آمَنَّا بِهِ وَعَلَيْهِ تَوَكَّلْنَا فَسَتَعْلَمُونَ مَنْ هُوَ فِي ضَلَالٍ مُّبِينٍ

کہہ دو وہی رحمٰن ہے ہم اس پر ایمان لائے اور اسی پر ہم نے بھروسہ بھی کررکھا پس عنقریب تم جان لو گے کون صریح گمراہی میں ہے

[78:37]
َربِّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا الرحْمَنِ لَا يَمْلِكُونَ مِنْهُ خِطَابًا

وہ جو رب ہے آسمانوں کا اور زمین کا اور جو کچھ ان کے درمیان ہے رحمٰن کہ اس سے بات کرنے کا اختیار نہ رکھیں گے

[78:38]
يَوْمَ يَقُومُ الرُّوحُ وَالْمَلَائِكَةُ صَفًّا لَّا يَتَكَلَّمُونَ إِلَّا مَنْ أَذِنَ لَهُ الرحْمَنُ وَقَالَ صَوَابًا

جس دن جبرائیل اور سب فرشتے صف باندھ کر کھڑے ہوں گےکوئی نہیں بولے گا مگر وہ جس کو رحمنٰ اجازت دے گا اور وہ بات ٹھیک کہے گا

ab aakhir me aap k saamne ek tafseer kitab tafseer e ayashi se pesh karta hoon us ko parhen or MOLA k FAZAYEL ka jaam bhar bhar piyen..
khusaima jo'fee se rewayat hai "ek raat main or mafzal MOLA IMAM JAFER SADIQ a.s ki khidmat me hazir thay, wahan koi or fard na tha, hum ne MOLA a.s se arz ki.. MOLA! koi esi baat sunayen jis se hamen khushi mile."
MOLA a.s ne farmaya: "suno, qayamat k din sab ko ek sarzameen per jama kia jayega or tamaam log khilqat e awal k andaaz me jama kiye jayenge, unhen ek jagah per khara kardia jayega or unhen wahan kharay kharay itna paseena ayega k her shakhs ki thohri tak paseena puhoch jayega, us waqt tamaam makhlooq e khuda kahegi k kaash..khuda hamara faisla karta, yahan ki museebat se to dozakh bhi behtar hai. phir tamaam log.. baari baari her nabi ki khidmat me jayenge.. or tamam ambiya kahenge k hamen is ka ikhtyaar nahin.. to akhir me sab log jama ho ker MUHAMMAD RASOOLULLAH s.w.w ki khidmat me ayenge or unse guzarish karenge, us waqt Rasulullah s.w.w farmayenge "haan, main hee tumhara saahib hoon." phir Aap s.w.w DAAR-E-REHMAAN per aayenge, jo k adan hai, jis k darwaaze ki wus'at mashriq o maghrib k barabar hogi, aap zanjeeren hilayenge, awaaz ayegi k kon hai? jab k wo khud behtar jaanta hoga k aane wala kon hai..aap s.w.w arz karenge "MAIN MUHAMMAD s.w.w hoon."
awaaz ayegi "IS K LYE DARWAZA KHOL DO." chunanche aap s.w.w k liye darwaza khol dia jayega. Nabi e kareem s.w.w ne farmaya tha k "jab mere lye darwaza khola jayega to men APNEY RABB KI TARAF NAZAR KARUNGA.. TO MEN USKI ESI TAMJEED KARUNGA K MUJHSE PEHLE KISI NE NA KI HOGI OR NA HEE MERE BAAD KOI ESI TAMJEED KAREGA, PHIR MAIN SAJDAY ME GIRJAUNGA."
Us waqt REHMAN kahega "MUHAMMAD! SIR BULAND KARO OR KAHO HUM TUMHARI BAAT SUNENGE OR SHIFA'AT KARO TERI SHIFA'AT QABOOL KI JAYEGI OR MAANGO TUJHE ATA KIA JAYEGA."
"PHIR MEN SIR UTHA K APNE RABB KI TARAF NAZAR KARUNGA OR DOBARA USKI ESI TAMJEED KARUNGA JO PEHLI SE BHI BEHTAR HOGI. PHIR ME SAJDAY ME GIR JAUNGA." awaaz ayegi "SIR UTHA! OR KEH, HUM TERI BAAT SUNENGE OR SHIFA'AT KAR, TERI SHIFA'AT QUBOOL KEE JAYEGI OR SAWAL KAR, TUJHE ATA KIA JAYEGA."
(men ne yahan zaroorat k mutabiq rewayat naqal ki hai kiun k rewayat kaafi bari hai.. mera maqsad RASOOL ka REHMAAN ko sajday karne ki daleel dikhana tha.. jo mene dikha di)
ab kuch ahadees MOLA ALI a.s se bhi dikha doon..
MOLA ne farmaya: "MUHAMMAD MUQEEM UL HUJJAT HEN OR MEN HUJJAT E HAQ HOON. (mashariq ul anwaar)
muqeem kehte hen jo qayim ho hujjat per.. jab k MOLA HUJJAT hen.. yaani MOLA WO HUJJAT hen jis per RASOOL ko Qayim kia gaya hai..


ab phir ek ayat or us ki tafseer dekh lete hen..
[13:7]
وَيَقُولُ الَّذِينَ كَفَرُواْ لَوْلَآ أُنزِلَ عَلَيْهِ آيَةٌ مِّن رَّبِّهِ إِنَّمَا أَنتَ مُنذِرٌ وَلِكُلِّ قَوْمٍ هَادٍ

اورکافر کہتے ہیں اس کے رب سے اس پر کوئی نشانی کیوں نہیں اتری تم تو محض ڈرانے والے ہوں اور ہر قوم کے لیے ایک ہادی ہوتا آیا ہے

MOLA ne farmaya: "MUHAMMAD MUNZIR HEN OR MEN HADI HOON."

yahan zara munzir or haadi k baare me bhi kuch behas kar len..
munzir kehte hen usko jo khud bhi dara hua ho or doosron ko bhi daraye.. nazeer or munzir me yehi farq hai.. k nazeer khud dara hua nahin hota.. jab k munzir wo hota hai jis ko daraya gaya ho.. or phir wo logon ko daraye..
ab Rasool kese daraye gaye.. to dekhye.. RASOOL ne farmaya k mujhpe ALLAH ne ALI a.s ki WILAYAT ka Aelaan laazim kia tha.. or agar me esa na karta to mujh per azaab hota..(ghayat ul maraam)
to ye tha wo dar jo RASOOL ko bhi tha.. or is darr k saath unhone ummat ko daraya.. or MOLA ko isi liye munzir nahin kaha gaya k ALLAH munzir nahin ho sakta.. or ab dekhte hen haadi..
pehle aap ko ek ayat dikhaaun..
[24:35]
اللَّهُ نُورُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ
اللہ آسمانوں اور زمین کا نور ہے

is ki tafseer me IMAM JAFFER SADIQ a.s farmaate hen k "yahan NOOR se muraad HIDAYAT hai.. yaani ALLAH ZAMEEN OR ASMAAN DONO KI MAKHLOOQ K LIYE HIDAYAT KARNE WALA HAI.."
ya yun keh len k HAADI hai.. to noor se se muraad hai hidayat..to haadi to MOLA hen..


ab ek hadees or mujhe yaad ayi MOLA IMAM JAFFER SADIQ a.s ki hee..
"AQAL KA KAAM HAADI KI MARFAT KARANA HAI"
is hadees se to buhot se log waqif bhi honge.. or is ko maante bhi honge.. koi munkir nahin hoga is hadees ka..


ab is hadees ki marfat bhi hasil karlee jaye..
MOLA ne farmaya: "MEN WO ZAAT HOON K JISNE KAHA.. AWWALO MA KHALAQALLAHUL AQAL.. (SAB SE PEHLE ALLAH NE AQAL KO KHALQ KIA)" (mashariq ul anwaar)
or Rasool ne farmaya k "wo AQAL men hoon.."
AB aqal KA KAAM HAI HAADI ki MAARFAT karwaana.. RASOOL hen AQAL.. or MOLA hen haadi..
yaani agar hum kahen k RASOOL ka kaam hai MOLA ALI a.s ki MAARFAT karwana.. to yehi HAQ hoga.. or ye beshak haq hai k her NABI ko mab'oos hee is kaam k liye kia gaya k wo MOLA ALI a.s ki MAARFAT karwayen or MOLA ki WILAYAT ki tableegh karen.. ab rahi ye baat k tamaam ambiya ko maboos kis ne kia.. to aayye wo bhi dekh lete hen..

MOLA ALI a.s mashariq ul anwaar me farmaate hen:
"انا الذی بعیثت النبیین و المرسلین"
"MEN HOON WO ZAAT JISNE AMBYAA-O-MURSALEEN KO MAB'OOS KIA.."


ek or ayat dekhte hen..
[42:11]
فَاطِرُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ جَعَلَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا وَمِنَ الْأَنْعَامِ أَزْوَاجًا يَذْرَؤُكُمْ فِيهِ لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ وَهُوَ السَّمِيعُ البَصِيرُ

وہ آسمانوں اور زمین کا پیدا کرنے والا ہے اسی نے تمہاری جنس سے تمہارے جوڑے بنائے اور چارپایوں کےبھی جوڑے بنائے تمہیں زمین میں پھیلاتا ہے کوئی چیز اس کی مثل نہیں اور وہ سننے والا دیکھنے والا ہے

MOLA ALI a.s ka farmaan bhi dekh lete hen: "انا الذی لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَي"
"MEN WO ZAAT HOON JIS K MISL KOI SHAE NAHIN."

ek or ayat dekhte hen..

[7:172]
وَإِذْ أَخَذَ رَبُّكَ مِن بَنِي آدَمَ مِن ظُهُورِهِمْ ذُرِّيَّتَهُمْ وَأَشْهَدَهُمْ عَلَى أَنفُسِهِمْ أَلَسْتُ بِرَبِّكُمْ قَالُواْ بَلَى شَهِدْنَا أَن تَقُولُواْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِنَّا كُنَّا عَنْ هَذَا غَافِلِينَ

اور یاد کیجئے جب آپ کے رب نے اولادِ آدم کی پشتوں سے ان کی نسل نکالی اور ان کو انہی کی جانوں پر گواہ بنایا (اور فرمایا:) کیا میں تمہارا رب نہیں ہوں؟ وہ (سب) بول اٹھے: کیوں نہیں! (تو ہی ہمارا رب ہے)۔ ہم گواہی دیتے ہیں تاکہ قیامت کے دن یہ (نہ) کہو کہ ہم اس عہد سے بے خبر تھے

ab dekhte hen k MOLA ALI a.s ne kia farmaya..


"اناآخذ العہد علی الارواح فی الازل۔ انا المنادی لھم الست بربکم"


"MENE HEE AZAL ME ARWAAH SE EHAD LIA OR MEN HEE HOON JIS NE NIDA DEE KIA MEN TUMHARA RABB NAHIN?" (mashariq ul anwaar)


[21:87]
وَذَا النُّونِ إِذ ذَّهَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ أَن لَّن نَّقْدِرَ عَلَيْهِ فَنَادَى فِي الظُّلُمَاتِ أَن لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

اور (یاد کرو قصّہ) مچھلی والے کا جب چلے گئے تھے وہ ناراض ہو کر اور اُنہیں خیال ہُوا تھا کہ نہ گرفت کریں گے ہم اس پر آخر کار پکارا وہ اندھیروں میں کہ نہیں ہے کوئی معبود سوائے تیرے، پاک ہے تیری ذات، بے شک میں ہی تھا قصور وار۔

yahan ye baat qaabil e ghaur hai k أَنتَ ka lafz saamne waale k liye istemaal hota hai or ghayeb k liye هُوَ istemal hota hai.. yahan أَنتَ istemaal hona is baat ki daleel hai k ye lafz kisi se mukhatib ho kar kahe gaye..
ab dekhte hen k MOLA ALI a.s ka farmaan kia hai..


"ان صاحب یونس فی بطن الحوت"
"MEN YOUNIS KA SAATHI HOON JAB K WO HAUT(MACHLI) K PAIT ME THA."


abye sochna aap per hai k hazrat younis a.s ne kin ko dekh kar ye jumley kahe..

kitab mezan ul hikmat me MOLA IMAM JAFFER SADIQ a.s ne is aakhri daur k liye ek dua taleem farmayi jis ko dua-e-ghareeq kehte hen.. wo ye hai..

"یا الله یا رحمٰن یا رحیم یا مقلب القلوب ثبت قلبی علی دینک"
ye dua kaafi muashhoor bhi hai or parhi bhi buhot jaati hai..


ab MOLA E KAAYENAAT a.s ka ek or farmaan bhi dekh lete hen..
"انا مقلب القلوب و الابصار"
"MEN HOON DILOUN KA OR AANKHON KA PHERNE WALA HOON." (mashariq ul anwaar)

ab ek or ayat ki taraf nazar gayi to wo bhi mene yahan likhna zaroori samjha.. mulaheza ho..
[3:6]
هُوَ الَّذِي يُصَوِّرُكُمْ فِي الْأَرْحَامِ كَيْفَ يَشَاءُ لاَ إِلَـهَ إِلاَّ هُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

وہی جس طرح چاہے ماں کے پیٹ میں تمہارا نقشہ بناتا ہے اس کے سوا اور کوئی معبود نہیں زبردست حکمت والا ہے

ab is k zael me MOLA ka farmaan bhi mulaaheza ho..
"انا الباری۔ انا مصور فی الارحام"
"MEN PEDA KARNE WALA HOON, MEN REHM-E-MAADAR ME SHAKLEN BNAANE WALA HOON."

do ayaat or bhi dikhaa doon..
[42:4]
لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

جو کچھ آسمانوں میں ہے اور جو کچھ زمین میں ہے اسی کا ہے، اور وہ علي العظيم ہے


[2:255]
اللّهُ لاَ إِلَـهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَؤُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

الله کے سوا کوئی معبود نہیں زندہ ہےسب کا تھامنے والا نہ اس کی اونگھ دبا سکتی ہے نہ نیند آسمانوں اور زمین میں جو کچھ بھی ہے سب اسی کا ہے ایسا کون ہے جو اس کی اجازت کے سوا اس کے ہاں سفارش کر سکے مخلوقات کے تمام حاضر اور غائب حالات کو جانتا ہے اور وہ سب اس کی معلومات میں سےکسی چیز کا احاطہ نہیں کر سکتے مگر جتنا کہ وہ چاہے اس کی کرسی نے سب آسمانوں اور زمین کو اپنے اندر لے رکھا ہے اور الله کو ان دونوں کی حفاظت کچھ گراں نہیں گزرتی اور وہی علي العظيم ہے

or ab is ki tafseer BHI DEKH LEN..

"انا العلی العظیم۔ انا صلواہ المومنین و صیامھم"
"MEN ALI-UL-AZEEM HOON, SALAAT-UL-MOMINEEN OR UNKA ROZA HOON."

aakhir me ek ayat or deta chaloon..

[9:51]
قُل لَّن يُصِيبَنَا إِلاَّ مَا كَتَبَ اللّهُ لَنَا هُوَ مَوْلاَنَا وَعَلَى اللّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ

کہہ دو ہمیں ہر گز نہ پہنچے گا مگر وہی جو الله نے ہمارے لیے لکھ دیا وہی ہمارا کارساز ہے اور الله ہی پر چاہیئے کہ مومن بھروسہ کریں

or ab is ki tafseer bhi mulaaheza ho..

"انا حقیقت الاسرار,انا مؤنس المؤمنین ,سید المومنین و انا مولاھم و امامھم , انا باب السجود"
"MEN HAQEEQAT HOON TAMAAM ISRAAR KI, MEN HOON JIS SE MOMINEEN UNS RAKHTE HEN, MEN MOMINEEN KA SARDAAR HOON OR MEN HEE UN KA MOLA OR IMAAM HOON, MEN SAJDOUN KA DARWAAZA HOON."

ab to logoun ko ye bhi samajh ajana chahye k kisi bhi insan ko SYED ya MOLANA kehna bhi shirk se kam nahin... ya to APNE MOLA KO APNA MOLANA OR SYED MAAN LO.. YA KHUD KO SYED KEH LO.. or kisi insan ko MOLANA keh lo.. ek waqt me ek hee kaam ho sakta hai werna khud ko mushrek tasleem karlo..


akhir me main itna hee kahoonga k mujhe umeed hai k ab tak to un logoun ko kuch samajh aa hee gaya hoga jo sirf BOLNA JAANTE HEN.. SOCHNA YA SAMAJHNA NAHIN JAANTE.. mera mashwara aakhir me yehi hai k bolne se pehle sochna zaroor.. or agar phir bhi na sochen to ye ayat unka muqaddar hai..
"summun bukmun umyun fahum la yarje'oon"


YA ALI MADAD!